Avatar : The Way of Water Review in Hindi / अवतार: द वे औफ़ वाटर की समीछा

Introduction / परिचय: Avatar The Way of Water

 Yah movie pehli movie se thodhi alag hai jahan pehli movie main action Dhoom dhadhake par bhut focus kiya gaya tha vahi yanha par action ke sath emotion par bhi dhyan diya gaya hai. Yanha movie family values ki bat karti hai. Ismain family ki importance ko dikhaya gaya sab chis ak taraf aur parivar ak taraf.

Plot / कथानक:

 Kahani kayi sal bad set hoti hai janha hame dikhaya jata hai ki Jake Sully ne Neytiri se shadi kar li hai aur ab uske 4 bache hai jinmain se ak adopted hoti hai jo ki Dr. Grace Augustine ki beti hoti hai jo uske chetna se janmi hoti hai  uska nam Kiri hota hai. jack ke 2 bete aur ak choti beti hoti hai. Bete badhe hote hai isliye vah apne aapko musibat main fasa lete hai Kuch naya sikhne ke chakkar main.

sab sahi chal raha hota hai par ak din achanak aakash vasi (prithvi ke long) Pandora par utarte hai jisse jungle ka  kafi badha hissa nashth ho jata hai jisse Jack aur Neytiri dukhi hote hai. Prithvi vasi Pandora main  basna chah rahe hote hai kyuki ab prithvi rehne layak nahi rehti hai isliye manav ab doosre grah ki taraf rukh kar rahe hote hai to vah Pandora grah  ki taraf rukh karte hai.

Colonel Quaritch apne team ki sath bahut dino se Jack Sully ko marne plan bana raha hota hai kyuki Jack Sully ne apne team ka sath na dekar Pandora vasiyo ka sath diya tha. Jack Sully ko marne ke liye vah apne aap ko Na’vi  ke avatar main Pandora par aate hai aur Jack Sully ki chan bhin karna shuru karte hai par unko Jack to nahi milte par unke bache mil jate hai usmain ak insan ka bacha bhi hota hai jo colonel ka hota hai vah Pandora par isliye reh jata kyuki vah bhut chota hai jiski vajah se usko earth main nahi bheja ja sakta tha isliye vah yanhi reh jata hai. Uska nam miles hota hai.

Vah bacho ko pakdh nahi pata hai par colnel Miles ko pakadhne main kamyab ho jata hai aur usko spaceship main le jata hai aur us par bhut torcher kiya jata hai jisse vah unka sath dene ke liye man jaye. Aur Jack ka kaha rehta hai uska pata bata de.

Is ghatna ke bad. Sully apne poore parivar ke sath apna ghar chor kar doosre jagah rehne ke liye chala jata. Vah yah faisla isliye leta kyuki colonel Jack ko he dhund raha rha tha aur vah yah nahi chata tha uski vajah se poora ilaka khatre main padh jaye. Vah apne ilkae se kafi door jal ke kinare rehne vale Na’vi ke yanha rehne jata hai vah unse is jagah par  rehne de iski ki vinti karta hai. Colonel unko dhund raha tha aur vah Miles ki madad se unhe har mumkin jagah dhundta hai har kabile main dekhta hai par vah nahi milte to vah sabhi ak plan banate hai pani main rehne vale machli ko chara banakar usko dhundte hai aur unki yah tarkib kam karti hai par iske bad unke bich bhut ladhai hoti hai. Is ladhai main sully ka badha bete ki death ho jati hai. Aur movie yah khatm jati hai.

Characters Explain / किरदार व्याख्या:

 Ismain sabhi ke kirdar par bariki se dhyan diya gaya hai par sabse jyada rahasymayi Kiri ka kirdar dikhaya gaya hai uska janm bhi bhut alag tarike se hua hai par yah movie thik se explain nahi karti kuch theories kehti hai ki Kiri ka janm, Eywa ki madad se Dr.Grace ke avatar ne garb dharadh kiya aur isliye Kiri ke pas avishvasniye powers bhi hoti hai jo movie main dikhayi gayi hai aur Kiri apni sakhsiyat khoj rahi hoti hai ki vah kyu doosre Na’vi se alag hai.

Jack Sully ka kirdar ismain ak jimmedar pita ke roop main dikhaya gaya hai jo apne parivar ki chinta karta hai har mumkin koshish karta hai ki uska parivar khush rahe aur vah kisi bhi khatre se koso door rahe. Neytiri ka kirdar pehle jaisa he hai usmain koi jayada badlav nahi hai Baki sabhi kirdar apni apni jagah bhut acha kam karte hai.

My thoughts / मेरे विचार:

Yah movie sirf dekhni nahi hai feel karni hai. Aise story apne pehle bhi dekhi hogi lekin jo ye movie experience deti hai vo aapko shayad he koi aur movie de sakti hai aapko isko 3D ya IMAX mai dekhna chahiye tab usmain jyada immersive experience milega. Movie 3 ghante ki hai par kanhi bhi ubau feel nahi karati kyuki scene aapko itna amuse karate hai ki aap bhul jate hai ki aap koi movie dekh rahe hai. Scenes bilkul bhi feel nahi hote hai ki ye CGI hai ya artificial sach main technology ne kafi tarakki kar li hai. Action scene aur fighting scene dekhne main bhi bahut maza aata hai aur underwater scenes to kamal he kar dete hai.

Is movie main koi kami nahi hai bas ak choti se mujhe problem lagi ki yah movie jab khatm hoti hai tab bhi ye lagta hai ki kahani abhi bhut baki hai. Pehli movie main jaise story kafi dikhayi hai par ismain story kafi slow aage badhti hai. Par sau bat ki ak bat yah movie ko aapko jaroor experience karna chahiye sirf dekhna he nahi. Yah movie aap poore parivar ke sath dekh sakte hai.

Main Actors

Director : James Cameron

Sam Worthington: Jake Sully

Zoe Saldaña : Neytiri

Sigourney Weaver: Doctora Grace Augustine

Stephen Lang : Colonel Quaritch

Joel David Moore : Norm Spellman

Share This Post
error

Connect with Us